May 25, 2012

Love and Sad Messages....



Sometimes the World Gives So Many Reason To Hate It..

But Whenever it Happens

I Just Stop 'n Think Of You 'n Say

How Can I Hate This World When You Are A Part Of It ..! :)


Hamne jise dilo jaan se chaha,
Us bewafa ne kisi or ko chaha,
Pata nahi ham ashiq Kyu unke liye faryad karte hai,
Jabki pyar k bahane to wo hame barbad karte hai.

MOHABBAT…………
HAA TUMHARI MOHABBAT….
BAHAR KE SHOKH MAUSAM KI TARAH……
MERI ZINDAGI ME SHAMIL HAI……
BARISH KI BUNDO KI TARAH TUMHARA PYAR……
MERE JISM KE ROM-ROM ME EK NAI TAZGI BHAR DETA HAI……
MOHABBAT BHARI TUMHARI BAATEIN ………
ROZ SAVERE EK NAI ZINDAGI DETA HAI….

Usne chudwa di apni kasam dekar,
Dosto ne pila di uski kasam dekar,
Pi to itni pi ki ladkhada kar gir gaye,
Dosto ne socha hum to mar gaye,
Le ja rahe the hume kabristan,
Raste mai padi ek sarab ki dukan,
Maine kaha dosto do-char botal aur le lo apni kabra par baith kar piyenge,
Khuda mangega jindagi ka hisab use bhi ek peg bana kar de denge.

Socha na tha ki wo muh mod legi.
lekin usne muh mod hi liya.
socha na tha ki wo dil tod degi.
lekin usne dil tod hi diya.
Maine socha ki wo sath nibhayegi.
lekin usne raste mai mujhe chod hi diya.

Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat
“Mere Paas Laut Aana”
Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
Or Kuch Saaf Nazar Na Aye
To Darna Mat
“Mere Paas Laut Aana”

Jab Bin Baadal Barsaat Ho Jaye
Or Tumhien Raasta Na Mil Paaye
To Udaas Mat Hona
“Mere Paas Laut Aana”

Jab Saans Ki Dori Toote
Or Koi apna Tumhien Lootey
To Maayoos Mat Hona
Mere Paas Laut Aana

Jab Dil Tumhara Toote
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chhoote
To Aanso Mat Bahana
“Meri Paas Laut Aana”

Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum
Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho Tum
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
To Shermindah Mat Hona
“Mere Paas Laut Aana”

Bas Itna Kehna Chahta Hoon
Ke Hamesha Intizar Karoonga
Is Kaeenat Se Ziada Pyar Karoonga
Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aye
To Rukna Mat
“Mere Paas Laut Aana “

Hum chahkar bhi tumhe pa na sake
Par tumne na chahkar bhi hume pa liya
Hum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe hai
Par tum chahkar bhi hume bhula na sake
Hum chahkar bhi tumhe khushiya na de sake
Par tum na chahkar bhi hume khushiya de gaye
Hum chahkar bhi pyaar nibha na sake
Par tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye…

Woh roye to muh mod ke roye,
Koi mazburi hogi jo dil tod ke roye,
Mere samne tukde kar diye meri tasveer ke,
Baad mein pata chala ke unhe jod ke roye.

Unhone dekha aur aansu ghir pade,
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…

Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,
MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,
Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,
Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai.

Zamane bhar ki baaton mein hamein na bhula dena,
Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,
Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,
Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena.

Rulane se pahale ek bar hansaya to hota,
Kasoor kya hai is dil ka bataya to hota,
Mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne,
Kash yeh dil kabhi kahin lagaya na hota …

Dard se khelna sikh gaye hum
Bewafayi ko jhelna sikh gaye ham kya btaye
Hame zindagi ne kis kadar saqth bana diya,
Ke maut se pehle kafan odna b sikh gaye hum!

Hamne tho apna dil unke hath me thama tha..
Mohabbt karte hai unse ye ehsaas dilaya tha..
unhone b kya koob natak nachwaya tha..
tod k dil bazar me dande se tookwaya tha..
dil to pagal tha sab kuch seh paya..
dek k unki bewafi kuch na kr paya..
rooh ko apni izaat pyari thii..
kaa k kasam
mouth ko apni gale lagwaya…

Kisi Aur k nam ki mehandi
apne hatho me tho tum saja chuki ho,
sirf rang utar na baki hai,
hamara dil tod k tum hamari jaan lechuki ho,
sirf kafan se chupana baki hai…..

Legayi sb kuch magar bs kafan rehne dia,
Yuhi meri zindgi ka akri rehnuma rehne dia,
Hum gaye they unko loutane k liye.
Wo kha k raham rehne diya

Mili he bahut saja unse Dil lagane ki
Nazr lag gai mere pyar ko zmane ki
Markr b KABAR se Nikle rahe 2no hath
Arju rh gai unhe gale Lgane Ki.

Unko Jana Tha bait k Doli me wo Chale Gaye
Hamko rokna Tha magr roke na ruke
Dhono ka safar tho churu hogaya tha,
Fark To Sirf Itna Tha,
Unko doli me bitaya gaya,
aur Hame dole me sulaya gaya…..

“Kafan na dalo mere Chehre par.
” mujhe Aadat hai muskuraney ki.”
aaj ki raat na dafnao mujhe yaroon,”
aaj umeed hai unke Aane ki”..:

Mohabbt me yeh Hum kahan agaye!
Gar se nikle the aur Maikane pahunch gaye,
ye mohbbt b kya cheez hai yaro,
jab ek moqaam se nikal gaye,
tho dusre moqaam pahunch gaye,
jab maikane se nikle the,
Aaj kabrstan pahunchaye gaye..

Khuda ki mahobbat fanah kaun karega..
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega..
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna..
Warna hamari maut ki dua kaun karega…

Kisi din teri nazro se dur ho jayenge hum,
Dur fizaon me kahi kho jayenge hum.
Meri yaadon se lipat ke rone aaoge tum,
jab zameen ko odh ke so jayenge hum…

Meri barbadi par tu koi malal na karna,
bhul jana mera khyal na karna,
hum teri khusi k liye kafan ODH lenge,
pr tu meri laash se koi sawal na karna…

Nazron ko nazaron ki kami nahi hoti,
phulon ko baharon ki kami nahi hoti,
fir kyu hume yad karoge Aap,
Aap toh Aasman Ho aur
Asman Ko Sitaron ki kami Nahi Hoti.

Mana k kal hum akele reh gaye,
judai k aansu ankho se beh gaye,
rothe hue ko koun chup karayega,
jo chup karathe the wo hi aaj chup hogaye.!

Tamannao me Uljhaya Gaya hoon,
khilone de k behlaya gaya hoon,
Kafan me kyun na Jaun muh chupa k,
Bhari mehfil me Utaya Gaya hoon…

Aaj kareeb se guzar kr gayi hai,
Andaaz be nam kr gayi hai,
Maiyat pe meri ruk kr anjaan ban gayi hai,
poochthi hai logo se
ye kis ki maiyat sajayi gayi hai,

Rulane wale akhir hume rula denge,
zehar de k gehri neend sula denge,
fir b koi gam na hoga hume,
dard tho tab hoga jab app hame
sath chor ne ko kehenge…

Mouth k baad yaad aa raha hai koi,
Meri kabr se mitti utha raha hai koi,
Aye Khudha do pal ki zindagi aur dede,
Meri kabr se udaas ja raha hai koi…

Nakaam mohabat ka bhi afsaana hoga,
sache pyar ka b harzana hoga,
apne aankho se dekh lena Zalim,
teri “DOLI” se khubsurat mera “JANAZA” hoga….

Me duba tho kinare pe khadi thi dunia,
Hasne walo me mera mukadar b shamil tha,
Ro raha tho jo Janaze se lipat kar mere,
kaise keh dhoo k wahi mera katil tha!

Wo ayenge gar pr mere,
sun k mout ki kabr meri,
yaro zara kafan hata dena,
kamaskam deedar tho hoga myyat ko meri.
Dek k agar wo ro dhe tho utha dena,
agar kamosh rahe tho chera chupa dena,
humse agar wo krti hai mohabbt tho izhar wo karegi,
agar na kare izar tho beshrm ko dak k mar k hakaal dena..

Na jane kyu ho raha hai is Dil ko,
Shaayad fir koi yaad aa raha hai is Dil ko,
Nahi Chahati main fir kuch likhna or sochna,
Par uski yaad hai jo chali aa rahi hai,
Kya ye sach hai ya mera Vaham,
Ki mera Dil jodne wala hi Dil todde ja raha hai mera,
Kyun nahi kahti hu main use sabke samne,
Par akele me wo sabse karib lagta hai mere Dil ke,
Janti hu main kabhi paa nahi sakti usefir bhi,
Kya hoga agar mil jaaye wo mujhe kal ko,
Itna chahata raha jise ye Dil-O-Jaan se,
Par koi to samjhe is khambhakt dil ko,
Na jaane aaj fir kya ho raha hai……………
Ye mujhse behtar is Dil me rehne wala hi jaanta hai………





Nikhil Sancheti

No comments:

Post a Comment